Wednesday, August 1, 2012

Doraha


Doraha

Ek Raah hai sach ka path, 
Doosre ne jhooth hai kaha,
kya karu kya na karu, Asmanjas yeh Doraha ...
Vikalpo ka prashna tere astitva se hai bahaa
Pag bandhe zanjeero se jab tak tyage na tu sach raha
Ho bandhano se mukt, chahe na sakhi ho na sakha
sangharsh ki raah phir bhi pakad, kara kar thoda sahaa..
Asatya ke kalash hazaaron hai,
Satya ka pyala is jag mein ek hi hai bhara
Ya idhar, ya udhar, anantkal tak bas doraha ...

- By Monal Thaakar

No comments:

Post a Comment